Oct 23, 2015

Khud k safar par badh raha thA

Mai toh safar par jaa raha thA,
Apni manzil ko soch kar muskura raha thA,
Mujhe kya pata thA ki koi itna khafa ho jaayega mujhse,
Mai toh apni hee dhun mei gungunaa raha thA,
Mai toh safar par jaa raha thA,
Kehne ko toh akela thA mai khud mei magar unko laga mai koi Bheed liye jaa raha thA,
Nazar b nahi aayi unko meri Parchaai,
Jabki mai toh dhup k saaye mei apne kadam badhaaye jaa raha thA,
Mai toh safar par jaa raha thA,
Apni manzil ko soch kar muskura raha thA.....!!

Yadav

No comments:

Post a Comment