Jul 14, 2012

Kyo Nahhii

Kyo nahi koi kisi ko samajhta hai, kyo nahi koi apni baat sahi se samjhaata hai, kyo nahi koi kisi k saamne aata hai, kyo nahi koi apna dard kisi ko batata hai, kyo nahi koi paas aakar b apna ehsaas karata hai, kyo nahi koi kisi ko khusi k badle khusi de jaataa hai, kyo nahi koi aakash k taaro ko sahi se ginn pata hai, kyo nahi koi kisi ko sahi se paani pilata hai, kyo nahi koi musibatt me fasey logo ko naiyaa paar karata hai, kyo nahi koi apnaa adhikaar dusro pe dikhaata hai, kyo nahi koi galat ko sahi kar jaata hai, kyo nahi koi aanshuo ki kimat samajh paata hai, kyo nahi koi jee kar b zindagi sahi se jee nahi paata hai, zindagi ko jeena sahi se bus yahi baat keh jaata hai, aage kyo nahi kaa kyo nahi buss sabke hontho tak reh jaataa hai...............buss kyo nahi........kyo nahi..........@avvi@

No comments:

Post a Comment