Jul 14, 2012

Dekha Thaa

Humne b tha ek sundar saa aashiyaa banaya, Sapno se jo bhar-pur tha aisa anokhaa-mahal tha sajaya, Kya nahi tha ye pucho jara usme bus dekhkar usko aaj ye dil ka dard u bhar nikal aaya, Aaye jab-jab hum ush galiyo me tab-tab sunehera mausam tha chaaya !! Par ek roz hua ye ki- Subah ki ujli-kiran naa jane kab raat ki rajni ho gai jaise achanak se kahi koi jaldi aaya aur jor se usne pith thap-thapaya! Kya hua ye koi bata nahi raha tha!! Mujhe aage ki sachhai koi dikha nahi raha tha! Koi kaam aa sake ush waqt me mere koi aisa mila nahi, aage badhkar dekha to mai khud aisa danng reh gaya! Socha tha kya se kya ho ga, Do pal ki khusi milegi wahi mera pyara sa zivan hoga, parr hua wahi jo aksar sapno k sath hua karta hai- Means Sajaye the jo sapna maine khud k lia wo palak jhapakte hi aise bikhar gaye haantho se hamesa k lia-jaise ki haantho se chhutkar moti ki maala jab niche zameen par bikharti hai fir laakh jatan karle koi par mala fir b sahi se naa judti hai bus ja milti hai alag kram me aise jaise zindagi Pal-pal me apna rang-rup aise badalti hai ki log bus tanha jite chale jate hai-jeete chale jate hai!!

No comments:

Post a Comment