Sep 10, 2014

Aakar Chale Jaate Hai Sabhi

Zindagi k safar mei koi aaya b koi gaya bhi, Zindagi k safar mei kisi ne sikhaaya b kisi ne sunaaya bhi, Magar mai raha wahi ka wahi jo mere andar mai mauzud tha, Fir thoda khud se gira aur kisi ko thoda bahut giraaya bhi, Zindagi k safar mei koi aaya b koi gaya bhi, Haste-Rote hee meri zindagi chalti rahi hamesa ki tarah beech majdhaar mei, Magar kya karu mai mujh naachiz ko achhi baatein kisi ne kabhi sujhaai nahi, Khud hee uljha khud hee suljaahaya aur toh aur khud hee naakaam raha, Ab iske aagey kya kahu aapko buss zindagi k safar mei koi aaya b koi gaya bhi.....!!

No comments:

Post a Comment