May 6, 2014

Naa Chahte Hue Bhi Hota Yahi Hai

Kuch baatein naa chahte hue b khud saali jubaan par aa jaati hai,
Kuch raatein aati tohh hai sukun waali par kinhi kaarno se khud manzil k liye roddaa bann jaati hai,
Kaun kehta hai ki manzil paane ka safar aasaan Hota hai sabhi k liye,
Yeh toh wo safar hai jish par chalkar sabki umar ek alag umar k padaaw par sehemm jaati hai,
Chaahe kitna b jatann kare koi ki yehh baat chhipi hee rahe sabse,
Magar Hota kuch aisa achaanak se hai ki kuch baatein naa chahte hue b khud saali jubaan par aa hee jaati hai, aa Hee jaati hai.....!!

No comments:

Post a Comment