May 29, 2014

Khud Se Alag Ho Gaya Mai

Mai aaya tha fir chala gaya,
Mai chaaya thaa fir chala gaya,
Wo waqt b kya waqt tha jab sabhi saath thhe,
Saayad yeh waqt-waqt ki baat hoti hai yaar,
Buss Jishe nahi hona hota hai aapke saath wo chala gaya,
Kosis ki thi ki gujarta pal aise hee guzar naaaa jaaye,
Jo jaha hai jaisa hai jiska hai wo waise Hee reh jaaye,
Par koi sunta kaha hai wo toh chalta chala gaya chala gaya,
Mai aaya tha fir chala gaya,
Mai chaaya tha fir chala gaya,
Guzri hai mere par bhi auro ki tarah,
Buss thoda-thoda sudhaarte hue sabko saala poora Hee mai bigadd gaya,
Jiski ummid naa thi mujhe khud se wo mai khud Hee kar gaya,
Mai aaya tha fir chala gaya,
Mai chaaya tha fir chala gaya.....!!

No comments:

Post a Comment