Apr 3, 2014

Bata Diya Toh Kya Galat Kiya Hmmm

Bata diya toh kya galat kiya,
Jo kal samajhna tha usse aaj samjha diya toh kya galat kiya,
Naaraz ho WO agar issh baat se toh mujhe farkk nahi kyoki Maine apna farzz nibha diya,
Bata diya toh kya galat kiya,
Kal Maine samjhaaya toh jaakar kuch toh asar hua Hee tabhi tohh aaj koi bahut sambhal-sambhal kar aaya hai,
Jo kal samajhna tha usse aaj samjha diya toh kya galat kiya,
Maana yeh baat pehle Hee honi thi par aaj kyo hua yeh hmmmmmm kuch toh baat rahi hogi,
Tabb kyo kehte ho Maine galat kiya-galat kiya,
Yeh toh apne-apne sochne ka nazariya hai kisi ne band ki aankhe aur sapne k sapno ko paa liyaaaa,
Bata diya toh kya galat kiyaaa.....!!

No comments:

Post a Comment