Mar 11, 2015

Aaane Waale CHALE Jaate Hai

Aaane waale naa jaane kab chale jaate hai, Aaate hai achanak se aise ki poocho matt buss palakk jhapakte dhuaan ho jaate hai, Maalom nahi rehta kabhi ki aakhir ho kya raha hai yeh, Buss apna kartab dikhaa kar apna alag andaaz bayaan kar jaate hai, Saayad tikna unke buss ki baat nahi hoti kisi k liye b, Tabhi toh tezi se aate hai aur hawa k maafikk furrr ho jaate hai, Aaane waale naa jaane kab chale jaate hai, Aaane waale naa jaane kab chale jaate hai.....!! Yadav

No comments:

Post a Comment