Jan 7, 2015

Kabhi Koi Ummid NAZAR Aa Jaati Hai

Kabhi koi ummid nazar aa jaati hai, Kabhi koi saam achanak se tanha kar jaati hai, Jyada toh mai kabhi sochta nahi kabhi apne baare mei par kabhi-kabhi ho jaata hai kyoki, Kaise-Kaise haalaato kaa saamna karna padta hai jeene k liye yeh baat bhala mujhse behtarr kaun samjhegaa, Fir b kabhi kahi se koi yaad palakk jhapakte hee rulaa jaati hai, Mai kahi b rahu par yeh har pal mera saath apne daaman se nibha jaati hai, Kabhi koi ummid nazar aa jaati hai, Kabhi koi ummid nazar aa jaati hai, Fir b kabhi kahi se koi yaad palakk jhapakte hee rulaa jaati hai, Fir b kabhi kahi se koi yaad palakk jhapakte hee rulaa jaati hai.....!! Yadav

No comments:

Post a Comment