Dec 7, 2014

Kab Tak Mai Kisi Par Bojh Bana Rahu

Kab tak mai kisi par bojh bana rahu, Kab takk jo mere dil mei hai ek baat woh khud takk chhipaaye rahu, Kab tak sapne dekhu aur sapne dikaata rahu, Kab takk aaine k tukde kar k unhe kosta rahu, Kab tak koi ghamo ki pyaali halak se utaarta rahu, Kab takk koi ek hee geet zindagi bhar gungunaata rahu, Kab tak mai kisi par bojh bana rahu, Kab tak mai kisi par bojh bana rahu, Kab tak mai kisi par bojh bana rahu.....!! Yadav

No comments:

Post a Comment