Aug 16, 2012

Aaj Bhi Jaruri Hai

Aaj bhi nai chehro par muskaan jaruri hai,
Aaj bhi nai logo ko purano se kehna jaruri hai,
Aaj bhi purani yaado ko naya rakhna jaruri hai,
Aaj bhi waqt ka dhyan waqt se pehle rakhna jaruri hai,
Aaj bhi dil k jajbaato ko khud par kaabu rakhna jaruri hai,
Aaj bhi jawab pata hai fir bhi sawal ko sawal rakhna jaruri hai,
Har lamhe me zindagi kuch keh rahi hai samajhne ko sabse fir bhi kyo unn baato ko samajh kar bhul jaana jaruri hai....aakhir kab tak jaruri hoga...kab tak?

No comments:

Post a Comment