Oct 31, 2012

Mai KEHH nAa Sakaa

Har pal ek baat satati hai, Kahi b rahu teri yaad dilati hai, Lamhe toh u guzarte chale gaye tere sath aur pata b naa chala lekin ek afsos har pal mere dil me raha ki mai dil ki baat tujhse keh naa saka-keh na saka, Gazab ki zindagi me afsane toh roz bana karte hai, Dil ko lekin jo bha jaye aise log badi minnath se aur kamm mila karte hai, Mann ka kya hai ye toh aazad panchi hai jaha mann kia udd chala kabi ish daal toh kabi ush daal, lekin ek afsos mere dil me hamesha raha ki dil ki baat mai tujhse keh naa saka-keh na saka, Socha jab sahi waqt aayega toh khusia b apne sath layega, Par khusi toh mili wo b pal do pal k lia lekin itne me tum u dur chali gai, Reh gaya hamesa ki tarah mai hi tanha aur sehem gaya mai akela tanha lekin ek afsos raha mere dil me ki dil ki baat mai keh na saka-mai keh naa saka.

No comments:

Post a Comment