Sep 8, 2012

Aisa Bhi Hua Hai

Hum jo sikhte hai ish jahan me wahi ish jahaan ko sikhate hai,
Hum jo dekhte hai apne aas-pass hota hua wahi sabko apne andaaz me dikhate hai,
Tarah-Tarah ki baato me tarah-tarah ka khayaal hota hi hai,
Bhigti hai palke sabhi ki ek roz ye jaante hai sabhi jab ushe kisi k khone ka jara aabhaas hota hai,
Rango ka kya hai yeh toh rango k saath pal bhar me rang badalte hai,
Sawaal hi hai akela ish zindagi mein jo sabke paas sawaal bankar uljhano ki tarah reh jaata hai,
Koi kaisa b ho kisi k lia sawaal ko iski parwaah nai, kuch kahe koi ya naa kahe koi par ye sawaal SAWAAL bankar bahut kuch keh jaata hai sabse,
Rehta toh hai yeh dost bankar par waqt par aisa jordaar kaata chubho taa hai ki dawa-dua kuch kaam nai aati bus yeh kehlata jaata hai Vishwaas-Trust-Bharosaa..
Jo ab gali-gali bazaro me bikta hai...

No comments:

Post a Comment